Wednesday 8 June 2016

Ebaadat ka mahina Ramzan me kyo Muslim Roza rakhate hai !







 Ramzan ka pak mahina aaj se shuru ho raha hai aaj rat se hi sare majido me Tarabi start ho jayengi.
Roze ko  Arbi me  "SOM' kahate hai ,jiska matlab hota hai rukna yani tamam buraiyo se parhej karna.
Roze me har muslim din bhar bhukha pyasa rahata hai, isi tarah yadi kisi jagah log kisi ki burai kar rahe hai to rozedar ko us jagah se hat jana chahiye .

jab muslim roza rakhta hai to uske dil dil me bhukhe pyase aadmi ke liye hamdardi paida hoti hai.Ramzan me sabab ke kamo ka sattar guna badh jata hai, Roza hinsa, burai, rishwat, aur bahut se galat kamo se bachne ka prenna deti hai

Quran me Allah ne farmaya hai ki " ROza tumhare upar isliye farz kiya hai taki tum  Khuda se darne wale bano aur Khuda se darne ka matlab ye hai ki insaan apne andar pyar aur komalta paida karo "


Kab khaya jata hai Khana:

Ramzan ke mahine me subhah ki Ajan se pahele Sahari kha li jati hai . Uske bad sham ko Ajan ke bad usi waqt par hi Iftaar kiya jata hai. Isi bich kuch bhi khaya -piya nahi jata .

Zaqaat kya hai :


Har musalman ke liye  Zaqat dena bhi Islam me wazib bataya gaya hai. Zaqat us paise ko kahte hai jo apni kamai se nikal kar KHUDA ki rah me kharch kiya jaye . Is paise ka istamal samaj ke garib tabke ki sewa ke liya kiya jata hai. Manyata hai ki Zaqaat Ramzan ke mahine ke bich me hi de deni chahiye
 taki is mahine ke baad aane wali EED par garibo tak ye pahuch sake aur wo bhi EED ki khushiyo me sharik ho sake. Ramzan ke agale mahine ki paheli tarikh ko ' Eed- ul- fitra" ka parb manaya jata hai.


Ramzan mahine ke hai tin hisse

Ramzan Islami mahine ka nowa (9) mahina hai. Iska nam bhi islami calendaro ke  nowwe mahine se bana hai. Is mahina islam ke sabse PAK mahino me shumar kiya jata hai, .Ramzan ke mahino ko aur tin hissseo me bata gaya hai. Har hissa me das- das din aate hai , har das din ke hisse ko  ASHRA kahete hai, jiska matlab ARBI me 10 hai. Quran ke dusre pare ke ayat no 183 me bataya gaya hai ki " Roza rakhna har muslam ke liye jaruri hai, "

to dost aaj ke liye itna hi phir milege aur ek naya post lekar ,  ye jankari apko kaisa laga jarur likhe,    hamare tarf se aap sab muslam bhaiyo ko "   EED MUBARK " 2016





erbebeb
RR





Sunday 5 June 2016

Kaise Ram ji ke ankho me anshu se bhar aaya Hanumanji ka prem bhaw dekhkar !

Hi dosto kaise hai aap, mai asha karata hu ki aap log sab mangal-kushal hoge, to chaliye aaj mai ek bhakt aur bhagwan ki nishchal prem aur pabitra bhawna ki kahani sunata hu. Kahani us samay ki hai, jab bhagwan Ram Rawan ka badh karke Ayodhya laut aaye the . Jaise ki aaplog jante hai bhagwan Ram ke sath Hanumanji , Bhivishan aur sugriv ji bhi Ayodhya aaye the.

 Ek din Hanuman ji Mata Sita ko pratahkaal uske ghar me kuch ajib garib chij dekha, wo ajib chij kya tha jante hai , mata Sita ko Hanuma ji dekha ki kuch LAAL Rang ka saman apne mathe ke uppar lagane kshish kar raha hai, asal me mata Sita apne sar par LAAL SINDUR laga raha tha, Bhagwan Hanuman ji thahara ek BANAR , jo is baat ka gyan nahi tha ki ek bibahit stri apne sar par sindur lagati hai .

Image result for ram hanuman images

 To Hanuman ji ne mata Sita ji bahut hi wichitra bhaw se pucha, " Mata ye aap kya apne sar par laga rahi ho " Mata Sita boli , Hanuman  ye LAAL rang ka sindur hai , aur ise lagane se swami ka prem barata hai aur swami ka aayushmaan hota hai,


Bas ye baat sunkar,  Hanuman Mahaprabhu ji ne socha agar sindur ko pure sharir me lagane se mera swami AMAR ho jayenge aur mujhse adhik prem karenge .  To bas kya tha, Hanuman ji apne pure sharir me sindur ka chola laga kar  Sri Ram ji ke darbar me jakar prastut ho gaya.  Ye dekhkar  Sri Ram ji ne pucha,  ye kya Hanuman ji, swami ye LAAL sindur hai , mata Sita ji ne mujhe bataya hai ki ise lagane se aapka aayu bar jayenga .

Image result for ram hanuman images


Isiliye maine ye LAAL sindur pure sharir me dharan kar liya taki mera SWAMI AMAR HO JAYENGE AUR MUJHE ADHIK PREM KARENGE . Ye baat sunkar bhagwan Ram ji ki ankho me anshu aa gaya , aur sri Ram ne Hanuman ji ko ashirwad diya ki koi bhi bhakt Hanuman ji ko SINDUR KA CHOLA charayega , use Hanuman ji bishesh kripa hoyega .

To dost ye post aap ko kaisa laga jarur bataye,  

Wednesday 4 May 2016

Image result for hanuman chalisa

Hanuman ji ko pasand kaise kare

hanuman ji ek aisa bhagwan hai jo chiranjiw ka bardan paya hai, jiske karan wo aaj bhi is dharti me abhi bhi jiwit hai, ye bardan hanuman ji ka swami  sri ram chandra ji ne khud diya tha, isliye hanumanji aaj bhi i duniya me logo ka dukh dard ko shesh karane ke liye duniya hai, har insaan ka sankat ko pal bhar me samapt kar deta hai, isiliye hanuman ji ko sankat mochan namo se bhi pukara jata hai.,  

waise to hanumaji ka janam mangalbar ko hua hai is liye inka puja bhi mangalbar ka hi hota hai, 
lekin kuch log sanibar ko bhi puja karate hai,

jo bhakt sri ram ji ka puja karate hai uspar hanumanji ka bisesh kripa hota hai. to chaliye hanuman ji ka puja kaise kare is prasang par aate hai, waise to hanuman chalisa parne se hi hanuman ji pasand ho jate hai, pratek din agar koi hanuman chalisa parate hai to uspar hanuman ji ka kripa hota hai, 

Sundar Kand ka path bhi shresth bataya gaya hai, agar koi aadmi Sundar Kand ka path mangalbar ko apne ghar pe parta hai to hanuman ji ka kripa bana rahata hai, 

dost agla post me mai aur bistar se hanumaji ke bare me bataunga ,

Jai Sri Ram



Image result for hanuman chalisa


earndollar.com: how to meet to god

earndollar.com: how to meet to god: aksar dekha gaya hai ki , insaan hamesha god ko khojane ke liye  ya phir pooja se bahut kimti saman god ko bhet karate rahate hai, taki go...